Faiz Ahmed Faiz
Hum Dekhein Ge
Wo din k jis ka waada hai
Hum dekhein gey
Jo loh e azal mein likha hai
Hum dekhein gey

Hum dekhein gey
Lazim ha k hum bhi dekhein gey

Hum dekhein gey
Jab zulm-o-sitam ke kohe garaan
Roi ki trah urr jaeinn gey
Hum mehkoomu ke paoun talay
Ye daharti dharr dharr dharkay gee
Aur ahl-e-hakam ke sir uper
Jab bijli karr karr karkay gee

Hum dekhein gey
Lazim hai ke
Hum bhi dekhein gey
Hum dekhein gey

Jab arz-e-khuda ke kaabay şey
Sab buth uthwaey jain gey
Hum ehl-e-safa mardood e haram
Masnad pey bithaye jaein gey
Sab taaj uchalay jaein gey
Sab takht giraey jein gey
Hum dekhein gey
Lazim hai ke hum bhi dekhein gey
Hum dekhein gey