Talhah Yunus
Mutaasir
[Verse 1: Jokhay]
Aankhain band, sochen jaari
Kaise bayaan karu lafzon mei zindagaani
Kaise shaaya karu aankho se behta paani
Kaise bataaun hai dikhaave ki yeh khush haali
Kaampta jism jab bhi niklu khud ki talaash mei
Paas na koi, dekhta tha khud ko apne baap mei
Woh bhi na raha mei kis ko dekhu apne aap mei
Ab Maa hi mera saaya warna tha aik zinda laash mei
Kya sab lahaasil hai? Khuahishen thi bohat zikar karne se ab qaasir hain
Kon yahaan kaamil nai, seekhte khataaon se
Mehnge parhe shauq, par hum thehre un par qaadir hain
Zamaana naazir hai, gawah mere fun ka
Pyaar milta itna kya mei laaiq hu is sab ka
Shukarguzaar hu mei ke mile mujhay log aise
Wohi log jinse raabta mera mazboot tha

[Verse 2: Nabeel Akbar]
Jaane is din ke liye hum ne din dеkhe kaise kaise
Koi apnе naam pe keecharh uchaale aise kaise
Kuch rishte khoon ke nahi par hain barh ke khoon se
Aik dooje ko dete sahaara hum khud jaise taise

Tae kiya safar jidhar ko koi rasta jaata nai tha
Jinko lagta tha kal tak mujhko to kuch aata nai tha
Unhi ke munh se apni tareefen ab sunta hu mei
Bataane ke liye shukriya ke kitna umda hu mein
Darasal baat yeh ke humne haalaat dekhe
Pal mein palat'te logon ke sarron se taaj dekhe
Aik baar jo utre dil se laakh koshish karle phir tu
Ab nai rukkne waala chaahay roke koi awaaz deke
Sachhayi yeh ke koi nai mehnat karna chahta
Subko chahiye waqt se pehle hadd se zyaada
Dil mei mel kaise munh pe banke aatay meethe
Peet peeche bharwatain aik dooje khud taangen khenchen

[Chorus: Talhah Yunus]
Woh mutaasir meri wafa se
Khuloos bhara hilta kese apni jagah se
Wo kese mujhe dagha den
Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye

Woh mutaasir meri wafa se
Khuloos bhara hilta kese apni jagah se
Wo kese mujhe dagha den
Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye

[Verse 3: JJ47]
Karta shayari per kis tarah ka shayar hon
Main akhr kis mizjaab ka! Khud ki samjh sey bahir hun
Main kuch to zahir hun, shayad isi main mahir hun
Main batien krta bari ya sirf aik mu ka fire hun

Rozana likhney bethon to lafz safon pe naachtey
Kya yeh bhi meri tarah nashey mai Ghabri hokey khaanstey
Dhondo agar to mujhe milti koi waja nahi
Kyun rakh hue panney! Shayad geet mere aag they
Kis ko gawah banao! Koi bacha na
Main seedha admi tha aadmi ka koi sagha na
Sher zakhmi bhi sher hai do Dawa na
Music Bana yeh junoon aur dil Kahin laga na

Sir phira Sir Qalam, laundey low rehtey
Fly mode jigar! On the go rehtey
Tu bhai hai to sath hai tu sath reh tu bhai hai
Laundey char so bees! Phir bhi 100 rehtey

[Verse 4: Talhah Yunus]
Ye qalam kaghaz ka raas ni hai
Badal sirhaana lekin mere pass jahaaz nai hai
Khuli kitaab dunya se rakhe koi raaz nai hain
Baaz kiun ayen, jab ungli uthaana laazmi hai
Dil ko qurbaan kiye, apno ko pehchaan diye
Sath poori army hai, Rap k liye jaan dee hai
Jokhay Gawah Rehna, Talha tu gawah haina?
Ye sab beemar thay, humse kehtay thay dawa dena
Sookha ye galla mera, piyaasay kharay stage pe
Dunya walay dekhtay, par hum tou khaali pait thay
Mehlon mai bethay saalay darte wo mere khet se
Paisa kia cheez ab mai bhaari in ki jeb pe
Paid hate campaigns, ye laat tere pait pe
Sher ko na cher be, sarr charte jese Beer ye
Rhymes double.. mai karta inka mind boggle
Wine baghal mai nai chahiye opener, meri grind double
Shine pakartay hain shayar meri line pakar
Director’s cut baby, AD hai tou joint pakar
Hustle ko dena chahta hu mai ab resign magar
Rap yahan na pohanchta, na karta dealen sign agar..
Sath detay.. jo apne hain wo sath dete
Daagh dekhay.. dil hote bagh bagh dekhay
Jo khuaab dekhay woh tou jee raha mai aaj betay
Baap ko hai naaz mujhpe yehi mera Taaj betay
Mai tera zehan , mai zaheen bhi
Sarr pe mere kaam ziada, kehlo mujhe team bhi
You know, It was all a dream
Ab Dekhu apna bank balance hota yaqeen nai
[Chorus: Talhah Yunus]
Woh mutaasir meri wafa se
Khuloos bhara hilta kese apni jagah se
Wo kese mujhe dagha den
Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye

Woh mutaasir meri wafa se
Khuloos bhara hilta kese apni jagah se
Wo kese mujhe dagha den
Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye